Agar Ap Apne Phone Ko Phli Baar Use Kar Rhe Hai To Fir Aap Es Post Se Bhot Khuch Shik Sakte Hai Or Apne Phone Ko Chalane Ki Skill Ko Phle Se Or Bhi Jyada Bhetar Bana Sakte Hai Ak Baar Es Post Ko Jarur Padhe..

















CAMERA FEATURE:



Agar Aap Camera Use Karte Hai To Apko Eske Camere Me Dono Further Dekne Ko Miljayege
 1st  Time-Lapse
 2nd Slow-Motion.

Time-Lapse - Vese To Apko Ye Further Redmi Ke Or Phone Me Bhi Dekne Ko Mil Jayega Lekin Me Apko Es Post Me New User Ke Liye Bata Rha Hu Ki Apko Es Tiime-Lapse Me Kya Karne Ko Milega,
Ap Es Option Ka Use Aap Fast Video Record, Fast Motion Me Video Record Kar Sakte Hai..

Slow-Motion - Es Option Ka Use Ap Apni Slow Motion Video Record Kar Sakte Hai,
Esme Apko Khuch Bhi Karne Ki Jarurat Nahi Hai, Ye Option Auto Slow Motion Video Record Karega.
Bas Apko Es Option Ko On Karne Ke Baad Apni Video Ko Record Par Laga Dena Hai.



WIFI SCAN FEATURE :

Ye Feature Muje Redmi Ke Phone Me Sabse Aacha Laga, Agar Hum Apne Home Par WIFI Ko Use Karte Hai To Bhot Bar Hume Us Password Ko Kisi Dusre Ke Saat Share Karna Padta Hai To Hum Chata Hai Ki Usko Hum Password Bhi Na Bataye Or Uska Phone Humare WIFI Se Connect Bhi Ho Jaye To Eske Liye Apko Apne Phone Ke WIFI Me Jana Hai Fir Apko Us WIFI Network Par Click Karna Hai Jis WIFI Ko Ap Apne Dost Ke Saat Share Karna Chate Hai Fir Apko Us WIFI Network Par Click Karte Hai Tabhi Apke Phone Me QR Code Show Ho Jayega.
Fir Apko Apne Friend Ko Bolna Hai Ki Wo Apne Phone Me QR Code Scanner Ko Open Kare Jese Hi Wo Apke Phone Se QR Code Ko Scan Karega Wese Hi Uska Phone Apke WIFI Network Se Connect Ho Jayega Or Apko Usko Apne WIFI Ka Password Bhi Batane Ki Jarurat Nahi Hogi Or Usko Apke WIFI Ka Password Pata Bhi Nahi Chalega..



SMS TIMER FEATURE:

Eske Liye Apke Phone Me Recharge Hona Bhot Jaruri Hai
Ye Bhi Ak Option Bhot Aacha Hai, Aaj Kal Hum Apne Kam Me Din Bhar Etne Jyada Busy Ho Chuke Hai Ki Hume Apne Dost Ya Family Kisi Ka Bhi Birthday Ho Ya Fir Koyi Festival Hume Kayi Baar Yaad Hi Nahi Hota Ki Hume Kisi Apne Ko Sms Karke Usko Wish Bhi Karna Tha To Ab Aesa Nahi Hoga Eske Liye Apko Apne Phone Me Sms Application Me Jana Hai Apko Apne Number + Message Ko Type Kar Lena Hai, Uske Baad Apko Message Ke Samne + Icon Par Click Karna Hai Or Timed Schedule Par Apko Click Karke Apko Date And Time Set Kar Leni Hai Ok
Ab Apko Apne Phone Me Khuch Bhi Karne Ki Koyi Jarurat Nahi Apka Phone Us Person Ko Automatic Send Kar Dega..



Neche Apko Sabhi Feature Redmi Ke Phone Me Hi Dekne Ko Milege.
Agar Ap Redmi User Nahi Hai To Apko In Feature Ko Use Karne Ke Liye Therd Application Ka Use Kana Pad Sakta Hai.

DUAL APP FEATURE :

Es Option Ka Use Ap Apne Kisi Bhi Application Ko Duplicate Application Bana Sakte Hai Wo Bhi Free Me..
Nahi Samjhe Koyi Baat Nahi
Example - Man Lo Aapko Ak Phone Me Do Whatsapp Use Karne Hai To Apko Phle Uske Liye Ak Alag Se Therd Party Application Ka Use Karna Padta Tha Lekin Apko Redmi Phone Phle Se Hi Es Further Ko Free Me Use Karne Ke Liye Deta Hai,



Aap Aasani Se Apne Ek Phone Me Do Application Ka Use Kar Sakte Hai, Wo Bhi Bina Kisi Thard Application Ko Install Kiye.

Eske Liye Apko
Settings→Dual App→Jis Application Ko Apko Duplicate Bana Hai Click Kare..
Eske Baad Aap Jese Hi Home Page Par Jate Ho Apko Wha Par Us Application Ka Icon Show Ho Jayega..


APP LOCK FEATURE :

apko bata du humare khuch application personal hoti hai jese google pay, paytm, PhonePe, Apki bhi khuch aesi application hogi jo apko dusro se chupa kar rakni padti hai, agar apke paas redmi ka phone hai fir to apko kisi app ko install karne ki jarurat nahi hai q ki ye feature apko redmi ke phone me free me dekne ko mil jayega.
lekin agar ap kisi dusri company ka phone estmal karte hai to fir to apko theard app ka use karna hoga apne personal app ko lock karne ke liye..
Feature Use Karne ke liye - Settings→App Lock → Eske baad us app ko select kare jis app ko apko lock karna hai→Set Password..


(+_+)  (+_+)  (+_+)  (+_+)  (+_+)  (+_+)  (+_+)  (+_+)  (+_+)  (+_+)  (+_+)  (+_+)  (+_+)  (+_+)


Apko Meri Ye Post Kesi Lagi Es Post Ke Niche Comment Karke Jarur Bataye Or Es Post Ko Share Kare Apne Dosto Ke Saat Taki Wo Bhi Es Post Ko Padne Ke Baad Apne Phone Me En Sabhi Optione Ka Use Kar Sake..

To Milte Hai Fir New Post Me Tab Tak Ke Liye Take Care.. 


Aagar Ap Mujse Baat Karna Chate Hai To Muje Social Media Par Follow Kare.

Follow Me Social Media.. Youtube Channal Link- Youtube/MrRahulHacker Instagram-https://www.instagram.com/mrrahulhacker/ Twitter-https://twitter.com/MrRahulHacker